IBRAAHIM ZAUQ

Lai hayat aye qaza le chali chale 
Na apni khushi aye na apni khushi chale
Behatar tu hai yahi ke na duniya se dil lage 
Par kya karen jo kam na bedillagi chale
Ho umr e khizr bhi tu kahenge bavaqt e marg 
Ham kya rahe yahan abhi aye abhi chale
Duniya ne kis ka rah e fana men diya hai sath 
Tum bhi chale chalo yun hi jab tak chali chale
Nazan na ho khirad pe jo hona hai wo hi ho 
Danish teri na kuch meri danishvari chale
Kam honge is bisat pe ham jaise badqimar 
Jo chal ham chale wo nihayat buri chale
Ja ki hava e shauq men hain is chaman se `zauq` 
Apni bala se bad e saba kahin chale

0 comments

Post a Comment